Tilok Chand Mahroom

hairat-zada main un ke muqabil mein rah gaya

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
hairat-zada maiñ un ke muqābil meñ rah gayā
jo dil kā mudda.ā thā mire dil meñ rah gayā
ḳhanjar kā vaar karte hī qātil ravāñ huā
armān-e-dīd dīda-e-bismil meñ rah gayā
jitnī safā thī sab ruḳh-e-jānāñ meñ aa ga.ī
jo daaġh rah gayā mah-e-kāmil meñ rah gayā
ai mehrbān dasht-e-mohabbat chale chalo
apnā to pā-e-shauq salāsil meñ rah gayā
vahshat-fazā bahut thī havā dasht-e-qais kī
parda kisī kā parda-e-mahmil meñ rah gayā
'mahrūm' dil ke haath se jaañ thī azaab meñ
achchhā huā ki yaar kī mahfil meñ rah gayā
Top Urdushayar.com