Tilok Chand Mahroom

nazar uTha dil-e-nadan ye justuju kya hai

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
nazar uThā dil-e-nādāñ ye justujū kyā hai
usī kā jalva to hai aur rū-ba-rū kyā hai
kisī kī ek nazar ne batā diyā mujh ko
surūr-e-bāda-e-be-sāġhar-o-subū kyā hai
qafas azaab sahī bulbul-e-asīr magar
zarā ye soch ki vo dām-e-rañg-o-bū kyā hai
gadā nahīñ haiñ ki dast-e-savāl phailā.eñ
kabhī na aap ne pūchhā ki aarzū kyā hai
na mere ashk meñ shāmil na un ke dāman par
maiñ kyā batā.ūñ unheñ ḳhūn-e-ārzū kyā hai
suḳhan ho sam.a-ḳharāshī to ḳhāmushī behtar
asar kare na jo dil par vo guftugū kyā hai
Top Urdushayar.com