zahe qismat agar tum ko hamārā dil pasand aayā
magar ye daaġh kyuuñ kar ai mah-e-kāmil pasand aayā
kiyā hai qatl lekin dekhiye jaañ kab nikaltī hai
ki un ko raqs-e-betābāna-e-bismil pasand aayā
vo momin bhī hai māñgegā duā sidq-e-tanāsuḳh kī
tire hāthoñ se marnā jis ko ai qātil pasand aayā
na pūchho kab se maiñ shāmil huā huuñ tīra-baḳhtoñ meñ
kisī ke āriz-e-raushan kā jab se til pasand aayā
ye gustāḳhī hai ai 'mahrūm' apnī had se baḌhtā hai
ki tā-hadd-e-zamīn-e-ġhālib-e-mushkil-pasand aayā