Tilok Chand Mahroom

kam na thi sahra se kuchh bhi KHana-virani meri

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
kam na thī sahrā se kuchh bhī ḳhāna-vīrānī mirī
maiñ nikal aayā kahāñ ai vaa.e nādānī mirī
kyā banā.ūñ maiñ kisī ko rahbar-e-mulk-e-adam
ai ḳhizr ye sar-zamīñ hai jānī-pahchānī mirī
jaan o dil par jitne sadme haiñ isī ke dam se haiñ
zindagī hai fil-haqīqat dushman-e-jānī mirī
ibtidā-e-ishq-e-gesū meñ na thiiñ ye uljhaneñ
baḌhte baḌhte baḌh ga.ī āḳhir pareshānī mirī
dasht-e-hastī meñ ravāñ huuñ mudda.ā kuchh bhī nahīñ
kab huī mohtāj-e-lailā qais-sāmānī mirī
aur tū vāqif nahīñ koī dayār-e-ishq meñ
hai junūñ shaidā mirā vahshat hai dīvānī mirī
bāġh-e-duniyā meñ yūñhī ro hañs ke kāTūñ chaar din
zindagī hai shabnam o gul kī tarah faanī mirī
bād-e-tark-e-ārzū baiThā huuñ kaisā mutma.in
ho ga.ī āsāñ har ik mushkil ba-āsānī mirī
haañ ḳhudā-lagtī zarā kah de tū ai husn-e-sanam
āshiqī auroñ kī achchhī yā ki hairānī mirī
laḳht-e-dil khāne ko hai ḳhūn-e-jigar piine ko hai
mezbān-e-dahr ne kī ḳhuub mehmānī mirī
naġhma-zan sahrā meñ ho jis tarah koī andalīb
yuuñ hai ai 'mahrūm' sarhad meñ ġhazal-ḳhvānī mirī
Top Urdushayar.com