bā.is-e-imbisāt ho āmad-e-nau-bahār kyā
rañg-e-chaman dikhā.egā sīna-e-dāġh-dār kyā
gumbad-e-gard-bād hai sar-ba-falak har ik taraf
dasht-e-junūñ meñ rah ga.ī qais kī yādgār kyā
talḳh hai ziist kījiye kis liye talḳh-tar ise
ḳhurramī-e-guzishta ko roiye baar baar kyā
shām-e-visāl se ho kyā mahv-e-fareb-e-ārzū
yaad nahīñ rahī hameñ sub.h-e-vidā-e-yār kyā
aap hī miT-miTā ke ham ḳhāk-e-rah-e-fanā hue
aur miTā.egī hameñ gardish-e-rozgār kyā