hote haiñ ḳhush kisī kī sitam-rāniyoñ se ham
vaqf-e-balā haiñ apnī hī nādāniyoñ se ham
kis muñh se jā ke shikva-e-jaur-o-jafā kareñ
marte haiñ aur un kī pashemāniyoñ se ham
mīrās-e-dasht-o-koh meñ farhād o qais kī
ulfat ko pūchhte haiñ bayābāniyoñ se ham
ghar baiThe sair hotī hai arz-o-samā kī roz
mahv-e-safar haiñ tab.a kī jaulāniyoñ se ham
kyūñkar baġhair jalva-e-hairat tarāz-e-husn
paa.eñ najāt dil kī pareshāniyoñ se ham
ai bānī-e-jafā tirā ehsāñ hai is meñ kyā
jiite haiñ gar to apnī girāñ-jāniyoñ se ham