ḳhizāñ se peshtar saarā chaman barbād hotā hai
ġhazab hotā hai jab ḳhud bāġhbāñ sayyād hotā hai
tujhe is par gumān-e-naġhma-e-sayyād hotā hai
qafas meñ nāla-kash murġh-e-gulistāñ-zād hotā hai
ḳhushī ke ba.ad ik tū hī nahīñ hai mubtalā-e-ġham
yūñhī akasr jahāñ meñ ai dil-e-nāshād, hotā hai
ravā rakhtā hai vo bedād pahle apnī fitrat par
jo insāñ dūsre par mā.il-e-bedād hotā hai
jo kartā hai nisār-e-nau-e-insāñ apnī hastī ko
vo insāñ iftiḳhār-e-ālam-e-ījād hotā hai
mire ash.ār kī tausīf hotī hai mire hote
nahīñ ma.alūm mere ba.ad kyā irshād hotā hai
na kar 'mahrūm' tū fikr-e-suḳhan ab fikr-e-uqbā kar
navā-parvāz bazm-e-sher meñ āzād hotā hai