Tilok Chand Mahroom

kisi ki yaad ko hum zist ka hasil samajhte hain

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
kisī kī yaad ko ham ziist kā hāsil samajhte haiñ
usī ko rāhat-e-jāñ aur sukūn-e-dil samajhte haiñ
sahārā hai kahāñ yārab tire kashtī-shikastoñ kā
nikal aatī hai mauj āḳhir jise sāhil samajhte haiñ
dil-e-ġham-dīda rotā hai tirī sahrā-navardī par
magar ai qais ham lailā ko bhī mahmil samajhte haiñ
ye hai daur-e-haqā.eq sehr-o-afsūñ ho ga.e bātil
magar kam haiñ jo sehr-e-husn ko bātil samajhte haiñ
kahāñ zarra kahāñ ḳhurshīd ḳhush-fahmī hai ye apnī
ki ḳhud ko jalva-gāh-e-dost ke qābil samajhte haiñ
adam hai ik nafas kā fāsla hastī se lekin ham
vo ġhāfil haiñ ki us ko duur kī manzil samajhte haiñ
kabhī 'mahrūm' ham bhī zindagī par jaan dete the
magar ab maut se us ko sivā mushkil samajhte haiñ
Top Urdushayar.com