ḳhudā se vaqt-e-duā ham savāl kar baiThe
vo but bhī dil ko zarā ab sambhāl kar baiThe
kiyā hai aañkh kī gardish se piis kar surma
vo be-chale hī mujhe pā.emāl kar baiThe
tamām umr pareshāñ rakhā dam-e-āḳhir
balā se merī pareshāñ vo baal kar baiThe
chale haiñ tuur ko muusā magar hameñ matlab
ki ham butoñ hī meñ ye dekh-bhāl kar baiThe
ravāñ haiñ ashk kisī ke firāq meñ yā rab
koī na pursish-e-vaj.h-e-malāl kar baiThe
burā ho ulfat-e-ḳhūbāñ kā ham-nashīñ ham to
shabāb hī meñ burā apnā haal kar baiThe
na ilm hai na zabāñ hai to kis liye 'mahrūm'
tum apne aap ko shā.ir ḳhayāl kar baiThe