chhū sukūñ tujh ko ye auqāt kabhī to hogī
aur mayassar bhī tirī zaat kabhī to hogī
chāñd ke saath meñ jo chhat pe kabhī guzregī
saath tum aur vo hasīñ raat kabhī to hogī
ek muddat se yahī aas liye baiThā huuñ
tujh meñ bhī shiddat-e-jazbāt kabhī to hogī
hijr-e-jānāñ meñ bhī aañsū nahīñ aa.e mere
ḳhushk sahrāoñ meñ barsāt kabhī to hogī
jugnuoñ kā to koī kaam ujāloñ meñ nahīñ
in se raushan shab-e-zulmāt kabhī to hogī
is liye ḳhatm kahānī nahīñ hone detā
us ke qisse meñ mirī baat kabhī to hogī