ġhaur se mujh ko dekhtā hai kyā
mere chehre pe kuchh likhā hai kyā
merī āñkhoñ meñ jhāñktā hai kyā
tujh ko in meñ hī Dūbnā hai kyā
mere hoñToñ ko chhū liyā us ne
kyā batā.ūñ mujhe huā hai kyā
ai kabūtar zarā batā mujh ko
un kī chhat par bhī baiThtā hai kyā
par kaTe panchhiyoñ se pūchhte ho
tum meñ uḌne kā hausla hai kyā
fāsle ishq meñ hī hote haiñ
tujh ko ye bhī nahīñ patā hai kyā
merī duniyā meñ bas tū hī tū hai
ab batā terā faisla hai kyā
pyaar se maañg lī hai jaan us ne
mere hisse meñ ab bachā hai kyā
chal kahīñ duur chalte haiñ 'nādim'
ghar ko jaane meñ bhī rakhā hai kyā