Nadim Nadeem

sar uThane ki to himmat nahin karne wale

Nadim Nadeem

Bhargain, Uttar pradesh, India

1994
sar uThāne kī to himmat nahīñ karne vaale
ye jo murda haiñ baġhāvat nahīñ karne vaale
muflisī laakh sahī ham meñ vo ḳhuddārī hai
hākim-e-vaqt kī ḳhidmat nahīñ karne vaale
in se ummīd na rakh haiñ ye siyāsat vaale
ye kisī se bhī mohabbat nahīñ karne vaale
haath āñdhī se milā aa.e isī daur ke log
ye charāġhoñ kī hifāzat nahīñ karne vaale
ishq ham ko ye nibhānā hai to jo rakh sharteñ
ham kisī shart pe hujjat nahīñ karne vaale
phoḌ kar sar tire dar par yahīñ mar jā.eñge
ham tire shahr se hijrat nahīñ karne vaale
Top Urdushayar.com