ham jo dīvār pe tasvīr banāne lag jaa.eñ
titliyāñ aa ke tire rañg churāne lag jaa.eñ
phir na ho maḳhmalī takiye kī zarūrat mujh ko
tere baazū jo kabhī mere sirhāne lag jaa.eñ
chāñd tāroñ meñ bhī tab nuur izāfī ho jaa.e
chhat pe jab zikr tirā yaar sunāne lag jaa.eñ
chand sikkoñ pe tum itrā.e hue phirte ho
haath muflis ke kahīñ jaise ḳhazāne lag jaa.eñ
kyuuñ na phir shāḳh shajar phuul sabhī murjhā.eñ
bhaa.ī jab sahn meñ dīvār uThāne lag jaa.eñ
us ne do lafz meñ jo bāteñ kahīñ thī mujh se
us ko maiñ sochne baiThūñ to zamāne lag jaa.eñ
phir zamāne meñ na ho koī pareshāñ 'nādim'
tere jaise bhī nikamme jo kamāne lag jaa.eñ