Khursheed Rizvi

kahin bhi maqam-e-sada-e-lab nahin aa saka

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
kahīñ bhī maqām-e-sadā-e-lab nahīñ aa sakā
maiñ tirī sadā-e-nigah pe kab nahīñ aa sakā
tire hijr tere visāl apne ḳhayāl meñ
kisī aa.ine meñ maiñ sab kā sab nahīñ aa sakā
tire qurb meñ mujhe maut yaad nahīñ rahī
vo sahar huī ki ḳhayāl-e-shab nahīñ aa sakā
jo tamām umr rahā sabab kī talāsh meñ
vo tirī nigāh meñ be-sabab nahīñ aa sakā
huī aise sāya-e-rañg meñ mirī tarbiyat
kabhī koī vasvasa-e-tarab nahīñ aa sakā
ye mirī matā-e-girāñ havā meñ bikhar ga.ī
mujhe apne soz-e-nihāñ kā Dhab nahīñ aa sakā
Top Urdushayar.com