Khursheed Rizvi

gham-o-surur zamane pe kargar kya hai

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
ġham-o-surūr zamāne pe kārgar kyā hai
bahut base bahut ujḌe magar asar kyā hai
maiñ chaltā jaatā huuñ tahlīl hotā jaatā huuñ
kaḌaktī dhuup meñ shabnam kā ye safar kyā hai
zamīn huuñ to ḳhazāne kahāñ ga.e mere
daraḳht huuñ to mirī shāḳh kā samar kyā hai
hazār ā.inoñ meñ jaise ik kiran mahbūs
nazar hī kyā hai mirī nuqta-e-nazar kyā hai
vo aag hai ki jo uḌtā hai jal ke girtā hai
fazā kā rog hai taqsīr-e-bāl-o-par kyā hai
Top Urdushayar.com