Khursheed Rizvi

dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
dekhtā huuñ phuul aur kāñTe ba-har-sū aaj bhī
yaad kartā huuñ tirī ḳhushbū tirī ḳhū aaj bhī
jaane kyuuñ jaltī sulagtī shaam ke aivān meñ
phail jaatī hai tirī bātoñ kī ḳhushbū aaj bhī
ziist ke ḳhasta shikasta gumbadoñ meñ gāh-gāh
gūñjtā hai terī āvāzoñ kā jaadū aaj bhī
zulf kab kī ātish-e-ayyām se kumhlā ga.ī
zulf kā saaya nahīñ Dhaltā sar-e-mū aaj bhī
tū ne paane haath meñ jis par likhā thā merā naam
vo sanobar lahlahātā hai lab-e-jū aaj bhī
vo tirā pal-bhar ko milnā phir bichhaḌne ke liye
dil kī muTThī meñ hai is lamhe kā jugnū aaj bhī
muddateñ guzrīñ magar ai dost tere naam par
Dol jaatī hai mire dil kī tarāzū aaj bhī
Top Urdushayar.com