bhareñ na vaqt ke hāthoñ jarāhateñ terī
rakheñ sambhāl ke dil ne amānateñ terī
chhupā ke tujh se kahāñ apne roz-o-shab le jā.ūñ
jahān-e-nūr tirā aur zulmateñ terī
bichhaḌ ke tujh se milā umr-bhar kā sannāTā
banā ga.iiñ mujhe tanhā rifāqateñ terī
tū hai vo fātah-e-ālam ki ek duniyā ne
shikast khā ke sarāhī hī himmateñ terī
tire nuqūsh-e-qadam se bahār thī in kī
haiñ muntazir mire dil kī masāfateñ terī
kahāñ hai shām-e-tamannā malāhatoñ kā vo rañg
kahāñ haiñ sub.h-e-tasavvur sabāhateñ terī
dil-e-hazīñ tirī chaukhaT pe umr kaun gañvā.e
kabhī samajh meñ na aa.iiñ zarūrateñ terī
azal se shīsha-e-gardūñ meñ ret chaltī hai
kabhī shumār meñ aa.iiñ na sā.ateñ terī
tū merī shirkat-e-hastī kahīñ qubūl to kar
tamām rañj mire sab masarrateñ terī