Khursheed Rizvi

guftugu tark-e-KHamushi hai faqat

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
guftugū tark-e-ḳhāmushī hai faqat
ham-safar ek ajnabī hai faqat
ahd-e-rafta ke valvaloñ kā nishāñ
ik musalsal sī bekalī hai faqat
dekhnā-bhālnā gayā tire saath
aañkh muddat se sochtī hai faqat
har taraf ik athāh sannāTā
chaap apnī hī gūñjtī hai faqat
har taraf be-panāh tārīkī
apnī āñkhoñ kī raushnī hai faqat
ajnabiyyat ke yaḳh-kadoñ meñ dost
ḳhud kalāmī pe zindagī hai faqat
ham kahāñ aur javāz-e-shikva kahāñ
naala iz.hār-e-be-kasī hai faqat
kar hifāzat matā-e-hairat kī
hāsil-e-zindagī yahī hai faqat
ab dimāġh-e-suḳhan bhī hai kis ko
umar muddat se kaT rahī hai faqat
Top Urdushayar.com