tū hai ki chīstāñ kī ibārat hai tah-ba-tah
dil hai ki sañg-basta-e-hairat hai tah-ba-tah
jo aañkh dekhne meñ ḳharāba dikhā.ī de
samjho ki is meñ koī amānat hai tah-ba-tah
bahr-e-anā huuñ merī tahoñ meñ utar ke dekh
ḳhvābīda mujh meñ vaqt kī mayyat hai tah-ba-tah
vo chashm-e-surma-sā ki jise be-zabāñ kaheñ
us kī ḳhamoshiyoñ meñ ishārat hai tah-ba-tah
fursat kahāñ ki ġhair se ham dushmanī kareñ
apnā vajūd ek musībat hai tah-ba-tah
shāyad koī gayā ho zamāne se kāmgār
apnī to ziist kān-e-nadāmat hai tah-ba-tah