kal maiñ inhī rastoñ se guzrā to bahut royā
sochī huī bātoñ ko sochā to bahut royā
dil merā har ik shai ko ā.īna samajhtā hai
Dhalte hue sūraj ko dekhā to bahut royā
jo shaḳhs na royā thā taptī huī rāhoñ meñ
dīvār ke saa.e meñ baiThā to bahut royā
āsāñ to nahīñ apnī hastī se guzar jaanā
utrā jo samundar meñ dariyā to bahut royā
jis mauj se ubhrā thā us mauj pe kyā guzrī
sahrā meñ vo bādal kā TukḌā to bahut royā
ham terī tabī.at ko 'ḳhurshīd' nahīñ samjhe
patthar nazar aatā thā royā to bahut royā