kahāñ huuñ maiñ ki mirā koī āshnā bhī nahīñ
kisī kā zikr to kyā ghar meñ aa.ina bhī nahīñ
rahe ḳhamosh to TuuTā na rishta-e-ummīd
pukārte to ḳharāboñ meñ koī thā bhī nahīñ
tirī sadā pe to sadiyāñ bhī lauT aatī haiñ
mujhe balā meñ kuchh aisā shikasta-pā bhī nahīñ
ye aur baat ki naqsh-e-qadam dikhā.ī na deñ
magar vo arsa-e-dil se abhī gayā bhī nahīñ
is e'tirāf se ras ghul rahā hai kānoñ meñ
vo e'tirāf jo us ne abhī kiyā bhī nahīñ
jis ek chiiz se terā firāq āsāñ hai
vo ek chiiz tirī yaad ke sivā bhī nahīñ
mirā bharam haiñ taġhāful-shi.āriyāñ terī
tū pūchh le to mirā koī mudda.ā bhī nahīñ
musālahat bhī nahīñ hai sarisht meñ apnī
magar kisī se tasādum kā hausla bhī nahīñ
na jaane kab na raheñ ham hameñ ġhanīmat jaan
hayāt-o-maut meñ kuchh aisā fāsla bhī nahīñ
ma.āl-e-kār-e-qanā.at hai so abhī se sahī
vagarna tūl-e-tamannā kī intihā bhī nahīñ