Khursheed Rizvi

fasil-e-zat-giri qaid se riha hue hum

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
fasīl-e-zāt-girī qaid se rihā hue ham
ḳhayāl-e-ġhair kī vus.at se āshnā hue ham
hisār-e-lafz meñ aatā na thā malāl-e-darūñ
zabān-e-hāl se āḳhir kahīñ adā hue ham
nazar kareñ vo jo dil par to haiñ vahī ke vahī
kabhī jo aa.ina dekheñ to kyā se kyā hue ham
chaman meñ khīñch ke laa.ī thī justujū jin kī
vo nik.hateñ nahīñ baaqī to lo havā hue ham
ye kis kā zahr-e-judā.ī lahū meñ tairtā hai
hameñ to kuchh bhī nahīñ yaad kab judā hue ham
nihāñ thī sañg meñ ātish ki jal ke ḳhaak hue
na ibtidā bhī huī thī ki intihā hue ham
kahāñ se lā.iye ḳhud ko ki ḳhud ko dekh sakeñ
jab apne-āp se guzre to rūnumā hue ham
Top Urdushayar.com