Khursheed Rizvi

palaT kar ashk su-e-chashm-e-tar aata nahin hai

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
palaT kar ashk sū-e-chashm-e-tar aatā nahīñ hai
ye vo bhaTkā musāfir hai jo ghar aatā nahīñ hai
qafas ab āshiyāñ hai ḳhaak par likkhī hai rozī
kabhī dil meñ ḳhayāl-e-bāl-o-par aatā nahīñ hai
pahāḌoñ kī siyāhī se fuzūñ dil kī siyāhī
vo husn ab apnī āñkhoñ ko nazar aatā nahīñ hai
shajar barsoñ se naqsh-e-rā.egāñ ban kar khaḌe haiñ
koī mausam ho shāḳhoñ meñ samar aatā nahīñ hai
mire is avvalīñ ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye motī siip meñ phir umr-bhar aatā nahīñ hai
koī qātil ravāñ hai merī shiryānoñ meñ 'ḳhurshīd'
jo mujh ko qatl kartā hai nazar aatā nahīñ hai
Top Urdushayar.com