chār-din ko hai yahāñ shart-e-iqāmat kyā kyā
fursat-e-zīst meñ shāmil hai musībat kyā kyā
sar-phire log haiñ ham apne junūñ kī rau meñ
soch lete haiñ dil-e-zār kī qīmat kyā kyā
vo to kahiye ki guzar kar ḳhas-o-ḳhāshāk hue
varna sañgīn thī hālāt kī sūrat kyā kyā
aaj mushkil hai bahut vāda-e-fardā pe yaqīñ
aur kal dosh pe aa.egī nadāmat kyā kyā
tum to kyā ho sar-e-dīvār-e-zamāna 'ḳhurshīd'
rā.egāñ ho ke miTā naqsh-e-fazīlat kyā kyā