ḳhushk putlī se koī sūrat na Thahrā.ī ga.ī
aañkh se aañsū ga.e merī ki bīnā.ī ga.ī
sub.h-dam kyā DhūñDte ho shab-ravoñ ke naqsh-e-pā
jab se ab tak bār-hā mauj-e-sabā aa.ī ga.ī
ro rahā huuñ har purānī chiiz ko pahchān kar
jaane kis kī ruuh mere ruup meñ laa.ī ga.ī
mutma.in ho dekh kar tum rañg-e-tasvīr-e-hayāt
phir vo shāyad vo nahīñ jo mujh ko dikhlā.ī ga.ī
chalte chalte kaan meñ kis kī sadā aane lagī
yuuñ lagā jaise mirī barsoñ kī tanhā.ī ga.ī
ham ki apnī raah kā patthar samajhte haiñ use
ham se jaane kis liye duniyā na Thukrā.ī ga.ī