yuuñ to vo shakl kho ga.ī gardish-e-māh-o-sāl meñ
phuul hai ik khilā huā hāshiya-e-ḳhayāl meñ
ab bhī vo rū-e-dil-nashīñ zard sahī hasīñ to hai
jaise jabīn-e-āftāb marhala-e-zavāl meñ
ab bhī vo mere ham-safar haiñ ravish-e-ḳhayāl par
ab vo nasha hai hijr meñ thā jo kabhī visāl meñ
un ke ḳhirām-e-nāz ko bū-gul-o-sabā kahā
ham ne misāl dī magar rañg na thā misāl meñ
ahl-e-sitam ke dil meñ hai kyā mire karb kā hisāb
un ko ḳhabar nahīñ ki maiñ mast huuñ apne haal meñ
kaisā pahāḌ ho gayā vaqt guzārnā mujhe
zaḳhm pe jam ga.ī nazar ḳhvāhish-e-indimāl meñ
tū ne mire ḳhamīr meñ kitne tazād rakh diye
maut mirī hayāt meñ naqs mire kamāl meñ