maiñ sochtā thā ki vo zaḳhm bhar gayā ki nahīñ
khulā darīcha dar aa.ī sabā kahā ki nahīñ
havā kā ruḳh to usī bām-o-dar kī jānib hai
pahuñch rahī hai vahāñ tak mirī sadā ki nahīñ
zabāñ pe kuchh na sahī sun ke merā hāl-e-tabāh
tire zamīr meñ ubhrī koī duā ki nahīñ
laboñ pe aaj sar-e-bazm aa ga.ī thī baat
magar vo terī nigāhoñ kī iltijā ki nahīñ
ḳhud apnā haal sunāte hijāb aatā hai
hai bazm meñ koī derīna āshnā ki nahīñ
abhī kuchh is se bhī nāzuk maqām ā.eñge
karūñ maiñ phir se kahānī kī ibtidā ki nahīñ
paḌho na ishq meñ 'ḳhurshīd' ham na kahte the
tumhīñ batāo ki jī kā ziyāñ huā ki nahīñ