aa.iye ro leñ kahīñ rone se chain aa jā.egā
varna dard-e-dil bharī mahfil meñ pakḌā jā.egā
chāñd kī chāhat hai lekin chāñd ko kam dekhiye
varna jab āñkhoñ meñ bas jā.egā gahnā jā.egā
jumbish-e-mauj-e-sabā se bhī agar lab hil ga.e
baat pakḌī jā.egī mahshar uThāyā jā.egā
sardiyoñ kī os meñ ThiThurā huā ik ajnabī
kal tirī dīvār ke saa.e meñ paayā jā.egā
diid kī mohlat to miltī hai magar kyā dekhiye
aañkh bujh jā.egī āḳhir phuul kumhlā jā.egā
ai sabā fursat nahīñ ḳhākistar-e-dil se na khel
ham agar ro.e to phir tā-der royā jā.egā