aks ne mere rulāyā hai mujhe
koī apnā nazar aayā hai mujhe
pesh-e-ā.īna bahut sochtā huuñ
kis liye us ne banāyā hai mujhe
kis liye vus.at-e-sahrā de kar
tañg galiyoñ meñ phirāyā hai mujhe
kis liye mere hī sehn-e-jāñ meñ
misl-e-dīvār uThāyā hai mujhe
maiñ kahīñ aur kā rahne vaalā
ġham kahāñ khīñch ke laayā hai mujhe
jis meñ us chhāñv kī yaad aa jaa.e
ab to vo dhuup bhī saayā hai mujhe
nigah-e-nāz se kyūñkar pūchhūñ
kyuuñ nigāhoñ se girāyā hai mujhe
haath meñ le ke girebāñ merā
dil ne dil bhar ke satāyā hai mujhe
saḳht hairāñ huuñ sar-e-koh-e-nidā
kaun thā kis ne bulāyā hai mujhe