Khursheed Rizvi

dil ko paiham wahi andoh-shumari karna

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
dil ko paiham vahī andoh-shumārī karnā
ek saa.at ko shab o roz pe taarī karnā
ab vo āñkheñ nahīñ miltīñ ki jinheñ aatā thā
ḳhaak se dil jo aTe hoñ unheñ jaarī karnā
maut kī ek alāmat hai agar dekhā jaa.e
ruuh kā chaar anāsir pe savārī karnā
tū kahāñ murġh-e-chaman fikr-e-nasheman meñ paḌā
ki tirā kaam to thā nāla-o-zārī karnā
huuñ maiñ vo lāla-e-sahrā ki huā mere supurd
dasht meñ pairavi-e-bād-e-bahārī karnā
is se pahle ki ye saudā mire sar meñ na rahe
dast-e-qātil ko atā zarbat-e-kārī karnā
ye jo Tapkā hai zabāñ par so karam hai ye tirā
ab rag o pai meñ use jārī-o-sārī karnā
baḳhshā la.al-o-javāhir se sivā tāb-e-suḳhan
ḳhaak ko anjum-e-aflāk pe bhārī karnā
Top Urdushayar.com