sīnoñ meñ tapish hai kabhī shorish hai saroñ meñ
kyā chiiz basā dī ga.ī miTTī ke gharoñ meñ
chaltā huuñ sadā saath liye apnī fasīleñ
pahchān sakā kaun mujhe ham-safaroñ meñ
uḌnā hai to tahzīb karo soz-e-darūñ kī
ye varna kahīñ aag lagā de na paroñ meñ
ġhairoñ meñ huī aam tirī daulat-e-dīdār
ik kohl-e-basar thā ki luTā be-basroñ meñ
do-gām pe tum ḳhud se bichhaḌ jaate ho 'ḳhurshīd'
aur log samajhte haiñ tumheñ rāhbaroñ meñ