dar-e-ḳhazīna-e-sad-rāz kholtā hai koī
na jaane kaun hai vo mujh meñ boltā hai koī
ajab kured ajab bekalī sī hai jaise
mujhe mirī rag-e-jāñ tak TaToltā hai koī
hujūm hai mire siine meñ abr-pāroñ kā
guhar bikherne vaalā huuñ roltā hai koī
hayāt-o-marg-o-tulū-o-ġhurūb hai duniyā
ki par sameTtā hai koī toltā hai koī
havā kā lams ye būñdeñ ḳhunuk ḳhunuk 'ḳhurshīd'
mujhe to aaj fazāoñ meñ gholtā hai koī