samāñ ġhurūb kā dil meñ rahā ubharte hue
ḳhayāl ḳhaak meñ milne kā thā sañvarte hue
zamīñ udaas hai aur āsmāñ pe ḳhanda-kunāñ
guzar rahe haiñ sitāre udaas karte hue
bikhar gayā to mujhe koī ġham nahīñ is kā
ki raaz mujh pe ka.ī vā hue bikharte hue
fasurda itnī hai is baar rahguzār-e-ḳhayāl
ḳhirām-e-yār jhijaktā hai gul katarte hue
mujhe bhī apnā dil-e-rafta yaad aatā hai
kabhī kabhī kisī bāzār se guzarte hue
zamāna lab pe ye añgusht rakh ke kahtā hai
ki dard-e-dil na kaho aur kaho to Darte hue
laboñ se niim tabassum bhī uTh gayā 'ḳhurshīd'
udāsiyoñ kā mudāvā talāsh karte hue