āvāra-e-ġhurbat huuñ Thikāna nahīñ miltā
nāvak huuñ mujhe koī nishāna nahīñ miltā
jin logoñ meñ rahtā huuñ maiñ un meñ se nahīñ huuñ
huuñ kaun mujhe apnā zamāna nahīñ miltā
dīvār to is daur meñ miltī hai ba-har-gām
lekin tah-e-dīvār ḳhazāna nahīñ miltā
muddat se hai ashkoñ kā talātum pas-e-mizhgāñ
rone ke liye koī bahāna nahīñ miltā
muddat se tamannā hai ki ye bojh utāreñ
muddat se koī dost purānā nahīñ miltā
hai raḳhsh subuk-sair bahut umr-e-ravāñ kā
gir jaa.e koī shai to uThānā nahīñ miltā