miltā hī nahīñ dard kā paikar koī mujh sā
ā.īne meñ ik shaḳhs hai kamtar koī mujh sā
īmān bhī tanhā hai mirā kufr bhī tanhā
momin koī mujh sā hai na kāfir koī mujh sā
hai kaun jo is abr ke parde meñ ravāñ hai
dīvāna hai dīvāna sarāsar koī mujh sā
kohsār ke dāman meñ milātā hai nihāñ kaun
āvāz se āvāz barābar koī mujh sā
lene nahīñ detā kisī karvaT mujhe ārām
ik shaḳhs haTīlā mire andar koī mujh sā
maiñ TūTtā taarā huuñ nazar mujh se milā lo
phir kaahe ko dekhoge mukarrar koī mujh sā
ā.īna huuñ aur chehra-e-'ḳhurshīd' pe vā huuñ
hogā kahīñ qismat kā sikandar koī mujh sā