bisāt-e-vaqt pe sadiyoñ ke fāsle ham log
kanār-e-shām-o-sahar meñ kahāñ Dhale ham log
na kārvāñ na musāfir magar jaras na thamī
na raushnī na harārat magar jale ham log
maqām jin kā muarriḳh ke hāfize meñ nahīñ
shikast o fat.h ke mābain marhale ham log
numūd-e-jism kī shorīda ḳhvāhisheñ duniyā
fishār-e-rūh ke nādīda valvale ham log
na jaane kab koī karvaT hameñ jagā Daale
zamīñ ke batn meñ ḳhvābīda zalzale ham log
fasād-e-koh-kanī hīla-hā-e-parvezī
hazār rañg ke kāñToñ meñ aable ham log
amīr-e-shahr kī moTī samajh meñ kyā aate
zamīr-e-dahr ke nāzuk muāmle ham log
hujūm-e-sañg-e-aziyyat meñ sar jhukā.e hue
ravāñ haiñ le ke mashiyyat ke qāfile ham log
zabāñ-burīda o be-dast-o-pā sahī lekin
zamīr-e-kaun-o-makāñ haiñ bure bhale ham log