Khursheed Rizvi

koi sawal na koi jawab dil mein hai

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
koī savāl na koī javāb dil meñ hai
bas ek dard-o-alam kā sahāb dil meñ hai
jarāhateñ jo lagīñ tan pe zeb-e-tan kar liiñ
jo dil ke zaḳhm the un kā hisāb dil meñ hai
agar lahū hai to āñkhoñ meñ kyuuñ nahīñ aatā
ye mauj-e-ḳhūñ hai ki mauj-e-sarāb dil meñ hai
mudām zāhir-o-bātin meñ ye ḳhalīj rahī
nigāh ġharq-e-gunah ehtisāb dil meñ hai
sahīfa-e-alam-e-rozgār hāthoñ meñ
khulī huī tire ġham kī kitāb dil meñ hai
nazar ke sāmne uTTheñge roz-e-hashr magar
vo dil meñ dafn rahegā jo ḳhvāb dil meñ hai
agar jigar meñ ho sāre-jahāñ kā dard to ḳhair
ye kyā ki sāre-jahāñ kā azaab dil meñ hai
Top Urdushayar.com