Khursheed Rizvi

teri nigah-e-lutf bhi nakaam hi na ho

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
terī nigāh-e-lutf bhī nākām hī na ho
dil to vo zaḳhm hai jise ārām hī na ho
chauñkā huuñ nīm-shab bhī yahī soch soch kar
vo āftāb ab bhī lab-e-bām hī na ho
tum jis ko jānte ho faqat apnī tab-e-ḳhās
vo rañj vo fasurda-dilī aam hī na ho
āhista is larazte hue pul pe rakh qadam
sadiyoñ kā inhidām tire naam hī na ho
ai dil mafar to kār-e-jahāñ se nahīñ magar
itnā to kar ki is meñ subuk-gām hī na ho
dastak sī de rahī hai darīche pe bād-e-sub.h
ai mahv-e-ḳhvāb sun koī paiġhām hī na ho
'ḳhurshīd' tū ne kaise nibhā.īñ ye uzlateñ
jaise tujhe kisī se koī kaam hī na ho
Top Urdushayar.com