vo mujhe ḳhaak se bāhar nahīñ jaane dete
dast-e-sāhil se samundar nahīñ jaane dete
sat.h par aa.e hue ban ke kaf o mauj o hubāb
zer-e-dariyā yahī gauhar nahīñ jaane dete
haiñ mirī raah kā patthar mirī āñkhoñ kā hijāb
zaḳhm bāhar ke jo andar nahīñ jaane dete
mujh ko is gumbad-e-be-dar se pare kā bhī hai zauq
ye mire baal mire par nahīñ jaane dete
hadd-e-aflāk pe jā kar to sadā de aayā
magar aflāk se uupar nahīñ jaane dete