Khursheed Rizvi

nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942

nabz-e-ayyām tire khoj meñ chalnā chāhe

vaqt ḳhud shīsha-e-sā.at se nikalnā chāhe

dastakeñ detā hai paiham mirī shiryānoñ meñ

ek chashma ki jo patthar se ubalnā chāhe

mujh ko manzūr hai vo silsila-e-sañg-e-girāñ

kohkan mujh se agar vaqt badalnā chāhe

tham gayā aa ke dam-e-bāz-pasīñ lab pe vo naam

dil ye motī na ugalnā na nigalnā chāhe

ham to ai daur-e-zamāñ ḳhaak ke zarre Thahre

to phūloñ ko bhī qadmoñ meñ masalnā chāhe

kah rahī hai ye zamistāñ shab-e-chārdahum

koī parvāna jo is aag meñ jalnā chāhe

umr isī Thokareñ khāne ke amal meñ guzrī

jis tarah sañg Dhalānoñ pe sambhalnā chāhe

sub.h-dam jis ne uchhālā thā fazā meñ ḳhurshed

dil sar-e-shām usī baam pe Dhalnā chāhe

Top Urdushayar.com