ḳhirad se duur ġham-e-tund-ḳhū meñ achchhe the
isī junūñ meñ isī hāv-hū meñ achchhe the
nikal ke aap se bāhar ḳharāb-o-ḳhvār hue
mudām-e-ġharq ham apne lahū meñ achchhe the
ġhurūr-e-zohd se rañj-e-gunāh behtar thā
ḳharāb shaġhl sharāb-o-subū meñ achchhe the
vo rā.egāñ bhī agar thī to rā.egāñ na kaho
ki roz-o-shab mire is justujū meñ achchhe the
agarche vo bhī na the hasb-e-ārzū lekin
vo din kaTe jo tirī aarzū meñ achchhe the
havā huī hai muāfiq hameñ vahīñ le chal
safīna-rāañ ham isī aabjū meñ achchhe the