jism kī chaukhaT pe ḳham dil kī jabīñ kar dī ga.ī
āsmāñ kī chiiz kyuuñ sarf-e-zamīñ kar dī ga.ī
mere hāthoñ kī lakīroñ hī meñ ḳham rakkhā gayā
merī uftād-e-tabī.at hī ġhamīñ kar dī ga.ī
kal mirī be-ḳhvāb āñkhoñ ke muqābil rāt-bhar
naqsh tāroñ meñ vo chashm-e-surmagīñ kar dī ga.ī
ḳhuun rulvātī rahī guzre zamānoñ kī shabīh
thak ga.iiñ āñkheñ to ġharq-e-sāt.gīñ kar dī ga.ī
khoT sone ke tasalsul meñ kahīñ aa.ī zarūr
yuuñ abas to sa.ī-e-dil bātil nahīñ kar dī ga.ī
talḳh kar letā huuñ har lazzat kī shīrīnī ko maiñ
kyuuñ nigah merī nigāh-e-pesh-bīñ kar dī ga.ī
naqsh āḳhir dil se us rū-e-hasīñ kā miT gayā
ḳhatm āḳhir sohbat-e-nām-o-nagīñ kar dī ga.ī