havā-e-be-taraf-o-fasl-e-be-samar guzrī
tire baġhair guzarnā hī kyā magar guzrī
sharīk-e-shorish-e-duniyā huuñ aur sochtā huuñ
ki sham-e-bazm-e-tarab se bhī chashm-e-tar guzrī
na thī pahāḌ se kuchh kam magar musībat-e-umr
tire ḳhayāl meñ guzrī to muḳhtasar guzrī
koī bhī kaam na aayā shikasta-bālī meñ
sabā bhī shāḳh-e-nasheman ko kaaT kar guzrī
mirī nigāh ne ḳhvāboñ meñ ḳhud ko pahchānā
ki jāgte meñ jo guzrī vo be-basar guzrī
zamāne-bhar se alag ho ke maiñ udhar ko chalā
jidhar jidhar se mire dil kī rahguzar guzrī