ālam-e-sakr meñ jo kahtā huuñ kahne de mujhe
mere andar to yahī kuchh hai so rahne de mujhe
aa kabhī lams ko yaksar nazar-andāz kareñ
aañkh se aañkh milā ḳhuun meñ bahne de mujhe
duur jā kar bhī mirī ruuh meñ maujūd na rah
tū kabhī apnī judā.ī bhī to sahne de mujhe
tū mujhe bante bigaḌte hue ab ġhaur se dekh
vaqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
jān-e-'ḳhurshīd' mujhe saa.e se mahrūm na rakh
maiñ gahan meñ agar aatā huuñ to gahne de mujhe