Khursheed Rizvi

phir wo gum-gashta hawale mujhe wapas kar de

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
phir vo gum-gashta havāle mujhe vāpas kar de
vo shab o roz vo rishte mujhe vāpas kar de
aañkh se dil ne kahā rañg-e-jahāñ shauq se dekh
mere dekhe hue sapne mujhe vāpas kar de
meñ tujhe duuñ tirī paanī kī likhī tahrīreñ
tū vo ḳhūñ-nāb navishte mujhe vāpas kar de
maiñ shab o roz kā hāsil use lauTā dūñgā
vaqt agar mere khilaune mujhe vāpas kar de
mujh se le le sadaf o gauhar o marjāñ kā hisāb
aur vo ġharqāb safīne mujhe vāpas kar de
nusḳha-e-marham-e-iksīr batāne vaale
tū mirā zaḳhm to pahle mujhe vāpas kar de
haath par ḳhāka-e-taqdīr banāne vaale
yuuñ tahī-dast na dar se mujhe vāpas kar de
āsmāñ sub.h ke āsār se pahle pahle
merī qismat ke sitāre mujhe vāpas kar de
maiñ tirī umr-e-guzishta kī sadā huuñ 'ḳhurshīd'
apne nākām irāde mujhe vāpas kar de
Top Urdushayar.com