Khursheed Rizvi

rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
rahī hai parda-e-ulfat meñ maslahat kyā kyā
adāvatoñ meñ huī hai mufāhamat kyā kyā
mire aziiz vatan kī fazā ne bhar dī hai
mirī sarisht ke andar munāfiqat kyā kyā
kabhī usuul kī ġhairat kabhī ziyāñ kā savāl
dimāġh-o-dil meñ rahī hai mushāvrat kyā kyā
sadā-e-dil ko tah-e-dil meñ qaid kar ke rakhā
rahā hai tauq-e-gulū shauq-e-āfiyat kyā kyā
mahak thamī jo lahū kī to chauñk kar ham ne
havā se pūchhī hai zaḳhmoñ kī ḳhairiyat kyā kyā
bahut aziiz haiñ āñkhoñ kī putliyāñ lekin
mile haiñ dukh bhī mujhe un kī ma.arifat kyā kyā
bahut dinoñ meñ kal ā.īna sāmne pā kar
huī hai umr-e-guzishta kī ta.aziyat kyā kyā
aTā huā ba-sar-o-chehra sīm-o-zar kā ġhubār
milī hai lāsha-e-afkār kī diyat kyā kyā
nihāñ hai tarkash-e-imkāñ meñ nāvak-e-taqdīr
mudām sar pe sitāre haiñ an-ginat kyā kyā
Top Urdushayar.com