Khursheed Rizvi

wahi KHushbu kabhi gulshan se kabhi ban se nikal

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
vahī ḳhushbū kabhī gulshan se kabhī ban se nikāl
vahī ātish kabhī gul se kabhī aahan se nikāl
aañkh ko vus.at-e-sahrā kā tamāshā.ī kar
nigah-e-murda-o-afsurda ko rauzan se nikāl
kar kuchh aisā ki tirī ḳhaak meñ parvāz aa.e
ab koī asp-e-falak-e-sair isī tausan se nikāl
mujh se marmar kā vo tarshā huā but kahtā thā
fan mirī raah kā patthar hai mujhe fan se nikāl
qurb-e-manzil kī bashārat hai bahut duur kī baat
rāhbar pahle hameñ panja-e-rahzan se nikāl
terī pahchān na ban jaa.e mire ḳhuun kā daaġh
ye koī phuul nahīñ hai ise dāman se nikāl
ik nigah kar ki kisī rañg pe Thahre ye hayāt
aañkh uThā aur shab-o-roz kī uljhan se nikāl
Top Urdushayar.com