ye shohrat hai ki rusvā.ī magar had se ziyāda hai
maiñ ḳhud itnā nahīñ saaya mire qad se ziyāda hai
mire dil kī girah bāteñ banāne se nahīñ khultī
ki mujh meñ bastagī kuchh qufl-e-abjad se ziyāda hai
kisī ke paas harf-e-dil-nashīñ baaqī nahīñ varna
qubūl ab bhī diloñ kī ḳhaak meñ rad se ziyāda hai
suvaidā ko mire nisbat bahut hai sañg-e-asvad se
magar naqsh-e-kaf-e-pā-e-mohammad se ziyāda hai
ye jān-e-nā-tavāñ merī ye shauq-e-be-amāñ merā
tavānā.ī kaf-e-sailāb meñ sad se ziyāda hai