din guzarte rahe sāñsoñ meñ thakan aatī rahī
dil meñ uḌ uḌ ke vahī gard-e-mehan aatī rahī
thak ga.e arsa-e-ehsās meñ chalte chalte
raah meñ hasrat-e-kotāhī-e-fan aatī rahī
bas darīche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jaltā rahā aur yād-e-vatan aatī rahī
gulshan-e-dahr meñ kuchh bū-e-vafā baaqī hai
ki ḳhizāñ meñ bhī sabā sū-e-chaman aatī rahī
phuul ā.ankhoñ se guzar kar tah-e-dil meñ bhī khilā
rut bhī badlī to vahī bū-e-saman aatī rahī
ahl-e-duniyā zar-o-gauhar kī tamannā meñ rahe
os paḌtī rahī sūraj kī kiran aatī rahī
ham kabhī chāk-garebāñ the kabhī ḳhāk-basar
kar guzarte rahe jo ishq meñ ban aatī rahī