Ameeta Parsuram Meeta

khinch laya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak

Ameeta Parsuram Meeta

1955
khīñch laayā tujhe ehsās-e-tahaffuz mujh tak
ham-safar hone kā terā bhī irāda kab thā
darguzar kartī rahī terī ḳhatā.eñ barsoñ
mere jazbāt o ḳhayālāt tū samjhā kab thā
mauj-dar-mauj bhañvar khīñch rahā thā mujh ko
merī kashtī ke liye koī kināra kab thā
zāhiran saath vo mere thā magar āñkhoñ se
bad-gumānī ke naqāboñ ko utārā kab thā
tujh ko ma.alūm nahīñ apnī vafāoñ ke evaz
jān-e-jāñ maiñ ne jo chāhā thā ziyāda kab thā
do kināroñ ko milāyā thā faqat lahroñ ne
ham agar us ke na the vo bhī hamārā kab thā
us ne merī hī rifāqat ko banāyā mulzim
maiñ agar bhiiḌ meñ thī vo bhī akelā kab thā
vo tirā ahd-e-vafā yaad hai ab tak 'mītā'
bhuul baiThī huuñ mohabbat kā zamāna kab thā
Top Urdushayar.com